Mera Bachpan
Wo bachpan ki baatein wo phool aur waadi wo nadiya wo jharne wo phool aur paati,
Uda hu chala hu ab samundar ke andar , safar ye mera kaha le chala hai.
Wo ma ki lori wo god sunehri wo papa ki baaton ko acche se sun na ,
Wo dadaji ka pyaar aur wo kahani aur dadi ki meethi lori ko sunna,
Wo ladai wo jhagda wo pyar wo baatein wo hasna wo khela bhai behano ke sath,
Wo bachpan ki masti aur sathi purane , kaha reh gaye wo pal the suhane.
Na mera na tera ruka hai wo bachpan aur na ruka wo yaado ka Phera.
Mujhe le chalo us jagah us samay me jaha mera bachpan ruka hi khada hai
Safar mera mushkil dagar bhi hai mushkil par mai na jhuka hu aur na jhukunga.
Mila koi mauka milne ka tujhse to mere bachpan mai phir se milunga,
O mere bachpan mai phir se milunga.